sunno, wo jab sataata hay
sunno, wo jab sataata hay
kaha, dil doob jaata hay
kaha, dil doobta hay kab?
bataya, jab sataata hay
kaho, kab phool khiltay hayn?
kaha, jab muskuraata hay
dharakta dil hey kab bolo
kaha, jab paas aata hay
kaho, dil may hay kiya oskay?
kaha, wo kab bataata hay
sunno berham sa hay shayed?
kaha, younhi banata hay
kaha, kuch to hua hoga?
kaha, wo aazmata hay
buri shaey hay ishq kioker?
kaha, shab bhar jagaata hay
kaho, wo bazm kaisi thi?
kaha, wo kab bulaata hay
kaho, os say bichernay ki?
bicherna kisko bhaata hay?
kaho, milnay ki khawahish hay?
kaha, bayderd naata hay
batao, raakh may hay kiya?
sitara jhilmilata hay
larzz jati hayn kab palkein?
nazar wo jab jamaata hay
Theher jaati hay dharkan kab?
Nazar say jab giraata hay
Related posts:
- sunno, wo jab sataata sunno, wo jab sataata hay kaha, dil doob jaata hay...
- USKi Yaad Pichle pehr ki rat thi, tanhai or uski yad thi,...
- Kaha tha kis ne ke ahad-e-wafa karo uss se Jo yoon kiya hai to phir kyun Kaha tha kis ne ke ahad-e-wafa karo uss seJo yoon...
Tagged with: cute • friendly texts • FULL2SMS • hate u sms to your soul mates. • love poems sms • love sms jokes • lovely • romantic • SMS Channel • sweet poetic
